Tuesday, February 18, 2014

Kuch baatein


Kuch baatein hai jo dil kehna chahta hai
Juban p ate hi kyu sab kuch ruk jata hai
Kya darr hai y jo mujhe khudse hi yu door kar jata hai

Mera dil lakh koshish kare
Par aapke hi khayalon main khoya hai
Aapki ek muskurahat k liye
Na jane kitna tadpa hai
Jab jab hua hai aapse door
Kanch k tarah tut k bikhra hai
Maine har baar un tukdo ko sanjoya hai
Na chahte hue bh pyaar aap p hi aya hai
Khud ko door karna chaha jitni baar
Utna h kareeb har baar khudko paya hai

Ladte ladte bh maine kayi lamhe paye hai
Shayad umar bhar in lamho ka hi saaya hai
Bahut mushkil hai khudko door karna un sab yaado s
Jinhone na jane mujh pe y kya
jaadoo chalaya hai

Chalte chalte in raaho p
Aaj door hone ka kyu sabab aya hai
Nahi hona mujhe door ek pal bh
Par shayad y hi acha hai
Isliye y makam aaj aya hai..

Bhul to na paungi un dhoondti nazaro ko
Jinse har baar takra k
Y dil pyaar s bhar aya hai
Wada hai jab tak hoga mumkin
Yun hi yaado k sahare reh paungi
Kisi aur ko samjhana mere bas main ab nahi
Bas koshish hai k bacha hua waqt
Mujhe sath mil jaye
To shayad meri soyi hui kismat mujh p kuch ehsaan kar jaye..

2 comments: