Tuesday, February 18, 2014

Jeevan


Raftar ghum si gayi h zinadagi ki
Badi dheere chal rahi hai
Kahan bhaghti th pal chin
Aaj yun h so rahi hai

Sukun sa hai maa ki god main
Aahat ab dard k kam hai
Bade meethe s swar h ghule aasman main
Shabdo ka khel ek darpan hai

Thak gaya tha insaan bhaghte bhaghte
Maa k aanchal n sahara diya hai
Mushkil jeetna kuch bh nahi
Bas y h dohraya hai

Par is udhedbun main
Zindagi tune kya paya hai
Khoya hua bachpan aur tyaag
Ya teri koi aur maya hai

Kyun daudte hue tu ruk gya h
Thak gya h ya besahara ho gya h
Lad rha h ya soch raha h
Kya h aisa jise thukra raha hai

Sochti hu to lagta hai abhi aasman mai ud jaega
Par is bar shyad y udne s phle
Kafi waqt lagaega
Apne ko badal ke
Na jane kaunse mod p jaega
Sab kuch bhula k na jane aaj kaunsa naya mokam rachaega
Y jeevan kuch to naya sikhayega
Kuch to naya sikhaega..

Kuch baatein


Kuch baatein hai jo dil kehna chahta hai
Juban p ate hi kyu sab kuch ruk jata hai
Kya darr hai y jo mujhe khudse hi yu door kar jata hai

Mera dil lakh koshish kare
Par aapke hi khayalon main khoya hai
Aapki ek muskurahat k liye
Na jane kitna tadpa hai
Jab jab hua hai aapse door
Kanch k tarah tut k bikhra hai
Maine har baar un tukdo ko sanjoya hai
Na chahte hue bh pyaar aap p hi aya hai
Khud ko door karna chaha jitni baar
Utna h kareeb har baar khudko paya hai

Ladte ladte bh maine kayi lamhe paye hai
Shayad umar bhar in lamho ka hi saaya hai
Bahut mushkil hai khudko door karna un sab yaado s
Jinhone na jane mujh pe y kya
jaadoo chalaya hai

Chalte chalte in raaho p
Aaj door hone ka kyu sabab aya hai
Nahi hona mujhe door ek pal bh
Par shayad y hi acha hai
Isliye y makam aaj aya hai..

Bhul to na paungi un dhoondti nazaro ko
Jinse har baar takra k
Y dil pyaar s bhar aya hai
Wada hai jab tak hoga mumkin
Yun hi yaado k sahare reh paungi
Kisi aur ko samjhana mere bas main ab nahi
Bas koshish hai k bacha hua waqt
Mujhe sath mil jaye
To shayad meri soyi hui kismat mujh p kuch ehsaan kar jaye..

Ehsaas


Ehsaas kuch baaton ka mujhe bh hai unhe bh hai
Iqraar hai hume par inkar unhe hi hai
Bhaghte phirte hai apni hi umeedo s
Darr unhe bh hai hume bh hai..

Muskhurahat hai labo p meri
Par jazbaat kuch aur hi hai
Khabar unko bh hai mujhe bh hai..

Aadha hai ishq ab bh mera
Aadhi ab bh dhadkan hai
Aadhi ab bh saansein le rahi hu
Y adhurpan kuch mujhe hi hai ya unhe bh hai

Har pal saath rehna mere is nadan dil k tamanna hai
Kya y aarzoo unke dil ki bh hai ya meri hi hai
Har dil k baat kehna mera haq hai ya bas yun hi chal raha hai sab
Kya y paheli hai..

Itna masoom sa h y dil
Kyu jidd p h ada
Sach pata shayad usko bh hai
Hume bh hai
Lakh samjhaya tha ise
Iltaja bhi ki thi
Mumkin y bh nahi
Aur vo bh nahi
Shayad use maloom bh hai nahi bh hai..

Bahut rota hai bheed main akela hi khota hai
Dard use bh hai hume bh hai
Madhoshi s h har pal main
Is khumar ka asar sirf mujh p hai ya thoda unhe bh hai..

Aankhein jhukh jati hai unke
milte hi
Dhadkan ruk si jati hai
Y aahat sirf mere dil ki hai ya unki bh hai

Umeed ab bh hai us din ki
Shayad ab bh kuch baki hai
Is baat ka ehsaas sirf mujhe hi hai ya unhe bh hai..