Thursday, November 6, 2014

Sydney Diaries


What you do when you wake up at 6
See the bright light and wish you can flip
My eyes opens wide at 7
Never in my life I had such morning...

Day seems long and night seems short
Why there is a concept of day light saving
Someone please clear my concept and make it strong..

Surfing, beaches Bondi, Manly
everywhere I wish to go madly!
I just need right amount of sunlight
to feel young and glow spread the happiness and be in my flow!

Winters, summers keep flipping as if sides of same coin
Someone just toss it in air and announce the weather in a while
Waves are too low and sometimes too high
You will never predict the flow as ships will shake the water every while!

Cuisines are part of culture
Blended with ethnic groups from all over the world..
You can eat spicy with flavour of Asia
You can eat sweet as if you are in India

Wine is tastiest
You will get them all sparkling
Just put your finger and select
You need 2013 or the one 113 years earlier..

Party music in Ivy
It makes you crazy every tiny
If you love nature and wildlife
Taronga zoo is here
You can watch from koala to kangaroo
Just add who you want in your wish list to be there...

My Sydney diaries are full of memories
It’s not just made us independent
But taught us to learn cooking..

SBR and CRP are key ingredients of our main dish
These are helping us to shape and sail in this mighty ship
Guest lectures and Student life are eternal parts
Helps us to gain insight in every city
And teach us how to adapt culture with a glance.

Thanks to tri-city model of  S P Jain
which is helping us to enrich this all
Dubai, Singapore, Sydney all the three cities,
are blending us in their culture in every nuance
I will surely miss it in every stance.


Wednesday, November 5, 2014

Kya itna pyaar bhi kam hai


kuch din bh kam hai
kuch baatein bh bhram hai
aati hui baharein bh gum hai
jaate hue pal bh nam hai

kya itna pyaar bh kam hai..

main ulajh rahi hun apni hi raaho main
dhundti hu palchin use khudki aahon main
na jaane kyu aata hai phir door ho jata hai
kya chahta hai aur kya de jata hai

kyu lad rahi hai takdirein kuch is tarah se
kyu so rahe hai raatein kuch kahe bina hi
kyu maayusi si hai cha rahi is dil main
kyu kho rahi hai muskhurahatein in chehro se

itna pyaar hai dil main jo simat raha hai
mera pyaar kyun khudse door ho raha hai
kya itna pyaar bh kam hai jo nazar aate hue bh kho raha hai

kya kisi ki chahat uske ijhar p bayaan hoti hai
kya pyaar sacha hai ise saabit karna jaruri hai
chahe achi ho baatein phir bh chubh jaati hai
mann kehna kuch chahta hai
par jubaan yun fisal jaati hai

saari baatein tum keh nahi sakte
kuch dil main rehti hai to kuch dafhan ho jati hai
kabra un yaadon ka hum yun hi bana lete hai
jaate hai door phir khudko samjha le jati hai

shayad unhe humara paas aana har baar nahi bhata
hum main kya kami hai k pyaar kabhi poora ho nahi pata
pyaar bahut hai samjha nahi sakte
mehsoos tum kar lo hum mehsoos kara nahi sakte
kho sakte hai toot sakte hai tumhri baaho main
kaho to bikhar bh jaenge tumhri raaho main

keh k dekho k y nahi acha lagta
hum badal denge har baat jo kar raha hai rishte ko kacha
mar jaenge y tumse hum kehna nahi chahte
bas aakhiri baar gale laga lena jaate jaate

shayad itna pyaar bh kam hai ab is duniya main
kuch to ulfat hai is pyaar ki deewanagi main
Kya itna pyaar bh kam hai ab humare liye....

Saturday, July 26, 2014

Chahat


Tum ho mere paas
badla hua hai har ehsaas
tumse door ek pal bh acha nahi lagta
sab kuch uljha uljha hai lagta

jis roz s tumse mile hai
bas tumse hi baat karna acha lagta hai
har pal tumhe takna
ek alag h sukoon deta hai

tum chahe kitna gussa karo
lekin pyaar tum pe hi aata hai
chahe tum kuch bh bol do
phir bh tumpe h y dil marna chahta hai

tum door jane k lakh koshish karo
par tumhe paas lane ka tarika hume bh pata hai
kab tak ukhde rahoge
tumhre ehsaas s humara bh rishta hai

kitne dafe tum ukhde s rehte ho
par usmain bh hume pyaar h aata hai
tumhre muskhurahat p to y dil dhadak jata hai

jab bh tum apni nazaro ka vaar humpe karte ho
uljhane sari door ho jati hai
baaho main aane ka mann karta hai
dil k machlan aur badh jati hai

door ho chahe kitna bh
hamesha karib lagte ho
paas hone ka y kaisa ehsaas hai
ki phool bh beech main aye to kaante lagte hai

ise deewanapan kahe ya aashiqui
aawarapan kahe ya dillagi
hum to tum p fida ho chale hai
ab aur kisi s dil laga na sakenge
tumhre the aur tumhre h hokar rahenge!!





Monday, June 30, 2014

Singapore--Meri Nazar se


Ek nazar dekho zara uthake
hare rang k mayne pata chal jaenge
boondein kis tarah dikhti hai
Labzon se pare ehsaas ho jaenge..

Sannate main meethi se khamoshi ki pehchan
yaha k mausam ne hi sikhai hogi
na koi shor hai na koi aahat
bas sukoon hai har kadam p kuch alag hai ye rahat..

Main yaha k logo k vahan chalane k tarike s chakit hu
na kabhi niyam todte dekha na kbhi unhe bhonpu k upyog karte suna
paidal chalte yatriyo ko rasta dena unka dharam sa hai
har kisi vahan chalak se maine y hi sikha h..

Kuch alag hi mahool hai yaha ka
apne main gum s hai duniya
aavishkar ka upyog hai durupyog
keh nahi paate
paas baitha bh khamosh hai
aur sab apne main gum hai
ek mausam ka hi jadoo hai
jo chehre kuch prasaan hai

bharat s door bharat main hu
aisa lagta hai
lekin ek aisa hissa
jaha shakhahari kam aur maasahari jyada milata hai
shikayat nahi hai y bh ek sikh hai
har waqt har paristhithi main jeene ka alag h sandesh hai

bhanti bhanti k log hai
koi amma kehne wal
to koi vannakam kehne wala dost hai
koi offo keh keh k din poora karta hai
aur koi usi k offo se pareshan rehta hai
yaha to kisi k har baat gadar hai
koi gym main hi pade rehne pasand karta hai
kuch aalsi se jeev hai
kuch ko khane main kuch nahi bhata
to koi mcdi s pyaar karte hai
ya yu kahe logo k liye  mcdi home away from home hai..

'Chomu' kehne ka chalan alag hi yaha chala hai
khushi ya gum p jaam chalkhane ka alag h sabab ho chala hai
muft k jagaho p jane k liye logo s puchte rehte h
itni mehangai hai k ghar s bas ab kiska saaman aa raha h
ispe nazar rakhte h..

aaye the singapore mba karne
shayad khud ko hi MANAGE karte reh jaenge
waqt kaise beet raha hai
hum bh samjh nahi paenge

aane wala waqt kya rang dikhaega
y kisko pata
par y to zarur hai y mann manchala hai
aur apni dagar p h ho chala
kuch khati meethi yaado k sath
y waqt bh beet jaega
zindagi ek pal main kaha s kaha le jati hai
y bh ek nasha hai..

dekhte hai ab is hariyali main aur kya gul khilte hai
kuch samay aur baki hai
chaliye ab aur thoda Singaporean banke jee lete hai!!


Tuesday, June 3, 2014

Sbr ki maar


Uff Y sbr k maar
Kar rahi h pareshan baar baar
Class khatam hote h iske nakhre chalu ho jate h
Ise patao ya gf ko samjh paintre na ate h
Maar maar k isne sabki kar rakha h atyachaar
Kaise h y sbr ki maar
Group main baith k Hansna to bhul h gye h
Topic p discussion h aise
Jaise darwin hum ban h gaye h
Research krke jate kuch h
Pucha jata h kuch aur
Uff y sbr k maar
Kara rahi h tak rar

Decide kia tha sab equal share denge
Lekin yaha to ek dusre k lene main lage h
Negative khel rahe h har baar
Is sbr n macha dia h kohram
Uff band karo ab y sbr k maar...

Tuesday, February 18, 2014

Jeevan


Raftar ghum si gayi h zinadagi ki
Badi dheere chal rahi hai
Kahan bhaghti th pal chin
Aaj yun h so rahi hai

Sukun sa hai maa ki god main
Aahat ab dard k kam hai
Bade meethe s swar h ghule aasman main
Shabdo ka khel ek darpan hai

Thak gaya tha insaan bhaghte bhaghte
Maa k aanchal n sahara diya hai
Mushkil jeetna kuch bh nahi
Bas y h dohraya hai

Par is udhedbun main
Zindagi tune kya paya hai
Khoya hua bachpan aur tyaag
Ya teri koi aur maya hai

Kyun daudte hue tu ruk gya h
Thak gya h ya besahara ho gya h
Lad rha h ya soch raha h
Kya h aisa jise thukra raha hai

Sochti hu to lagta hai abhi aasman mai ud jaega
Par is bar shyad y udne s phle
Kafi waqt lagaega
Apne ko badal ke
Na jane kaunse mod p jaega
Sab kuch bhula k na jane aaj kaunsa naya mokam rachaega
Y jeevan kuch to naya sikhayega
Kuch to naya sikhaega..

Kuch baatein


Kuch baatein hai jo dil kehna chahta hai
Juban p ate hi kyu sab kuch ruk jata hai
Kya darr hai y jo mujhe khudse hi yu door kar jata hai

Mera dil lakh koshish kare
Par aapke hi khayalon main khoya hai
Aapki ek muskurahat k liye
Na jane kitna tadpa hai
Jab jab hua hai aapse door
Kanch k tarah tut k bikhra hai
Maine har baar un tukdo ko sanjoya hai
Na chahte hue bh pyaar aap p hi aya hai
Khud ko door karna chaha jitni baar
Utna h kareeb har baar khudko paya hai

Ladte ladte bh maine kayi lamhe paye hai
Shayad umar bhar in lamho ka hi saaya hai
Bahut mushkil hai khudko door karna un sab yaado s
Jinhone na jane mujh pe y kya
jaadoo chalaya hai

Chalte chalte in raaho p
Aaj door hone ka kyu sabab aya hai
Nahi hona mujhe door ek pal bh
Par shayad y hi acha hai
Isliye y makam aaj aya hai..

Bhul to na paungi un dhoondti nazaro ko
Jinse har baar takra k
Y dil pyaar s bhar aya hai
Wada hai jab tak hoga mumkin
Yun hi yaado k sahare reh paungi
Kisi aur ko samjhana mere bas main ab nahi
Bas koshish hai k bacha hua waqt
Mujhe sath mil jaye
To shayad meri soyi hui kismat mujh p kuch ehsaan kar jaye..

Ehsaas


Ehsaas kuch baaton ka mujhe bh hai unhe bh hai
Iqraar hai hume par inkar unhe hi hai
Bhaghte phirte hai apni hi umeedo s
Darr unhe bh hai hume bh hai..

Muskhurahat hai labo p meri
Par jazbaat kuch aur hi hai
Khabar unko bh hai mujhe bh hai..

Aadha hai ishq ab bh mera
Aadhi ab bh dhadkan hai
Aadhi ab bh saansein le rahi hu
Y adhurpan kuch mujhe hi hai ya unhe bh hai

Har pal saath rehna mere is nadan dil k tamanna hai
Kya y aarzoo unke dil ki bh hai ya meri hi hai
Har dil k baat kehna mera haq hai ya bas yun hi chal raha hai sab
Kya y paheli hai..

Itna masoom sa h y dil
Kyu jidd p h ada
Sach pata shayad usko bh hai
Hume bh hai
Lakh samjhaya tha ise
Iltaja bhi ki thi
Mumkin y bh nahi
Aur vo bh nahi
Shayad use maloom bh hai nahi bh hai..

Bahut rota hai bheed main akela hi khota hai
Dard use bh hai hume bh hai
Madhoshi s h har pal main
Is khumar ka asar sirf mujh p hai ya thoda unhe bh hai..

Aankhein jhukh jati hai unke
milte hi
Dhadkan ruk si jati hai
Y aahat sirf mere dil ki hai ya unki bh hai

Umeed ab bh hai us din ki
Shayad ab bh kuch baki hai
Is baat ka ehsaas sirf mujhe hi hai ya unhe bh hai..