Tuesday, August 18, 2009

"Ladki-Ek abhishap ya tohfa??"

Aaj is sansaar main phir ek ladki ne janam lia,
uski maa ne na jaane yeh kaisa apradh kia??
Dadi ne paida hote hi poti ke hahakar machaya..
boli-"yeh hai paraya dhan yeh hamare jeevan main kyun hai aaya??"........

Maa khush thi beti ko paakar,
usne usme devi maa ka rup basa hua paya..
par auron ki baatein sunkar uske jeevan ke liye uska man ghabraya,
na pita ka pyaar mila na dadi ki chaya...!!!

Kuch saalon ke baad uske jeevan main uska bhai aaya..
uske hansi ne ghar mahkaya,
dadi bhi khush aur pita ke chehre pe usne pehli baar sukoon paya.!!!...

Tane khati khati badi hui..
vivah ki dehleez main kadam rakha aur socha ab meri zindagi hogi rangeen,
par ye to hona hi nahi tha
aakhir thi vo ladki hi....

Pati ne kosa aur saas ne bhi,
na idhar ki rae na udhar ki,
sochti rae kya ye hi hai meri takdeer??

Kuch saalon ke baad is duniya main uska beta aaya,
usne aate hi dadi jaisa rang dikhaya!!
uski baatein sunkar uska man ghabraya..
bola-"Hey Maa!!Tune mera ghar KURUSHETRA kyun banaya????"

Kya hota hai pyaar ye ladki hi sikhati hai..
kaise banta hai ye sansaar ye ladki hi batati hai,
har pathjhad main vo hi phool khilati hai,
murjhaye logon main khushiyan vo failati hai...

apni takdeer ko kosti hui,
apno se ladti hui,
vo ye hi sawal puchti hai
samaj bata de zara use.....

"AAKHIR KIS GHAR KI VO LADKI HAI??
AAKHIR KIS GHAR KI VO LADKI HAI??"

6 comments:

  1. A very sensitive topic..
    but you have written it nicely..
    Good job.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. thnx arpit...ma frnd helped me out in this..uska idea tha...

    ReplyDelete
  4. Really inspiring and beautiful indeed...
    ANd the best part is the way you have presented...

    Simply enticing...

    KEeeeep posting.... :)

    ReplyDelete
  5. frankly, did n't expect such a serious stuff from you.It must surely have been difficult to portray such deep and agonising feelings...TIP: try keeping your paras uniform and with a consistent rhyming scheme..Keep your pen busy!!!

    ReplyDelete
  6. u r sooo talented!! really, awesome poem... so touching, so deep meaning, so much true...u hav appealed to a very serious topic in a beautiful way... keep rocking like dis

    ReplyDelete