Monday, August 24, 2009

About Me

Hello guys this is Nikita out here....I am an engineer by profession in 2 year Computer Science branch...
This blog is just the review of my views encapsulated in words..do comment on them and give your suggestions...waitin...

Some lines from the core of my heart:-

"Walking down the memory alley
I realized that I was developing odiousity towards my every way..
I was such an oaf that
I couldn't realized what's my destination
kept on walking in my wild imagination...
Dreamt of bigger life but got nothing
thought of manifesting myself but remained shrinked...
I was obliterating myself
I knew that very well
There was moribund in my career
due to these reasons...
But now I am obdurate about what to do,
and weaving my future to bloom......."

Sunday, August 23, 2009

Aaj Ka Bollywood..

................................................................................................

Samay samay ki baat hai,
kal tha jo cinema aaj badla uska har mizaz hai...

Patkatha kabhi th naveen,
aaj unki remixes ki bharmar hai...
purane filmo ki copy hi nahi,
ab to hollywood ki filmon ki remake bh beshumar hai,
itna karne ke baad bh bechara bollywood oscar se bahar hai.

Actors ki acting sabse bekar hai,
samajhte hai khud ko dilip kumar,
par unke pair ki dhul k bh nahi aas paas hai...

Gayakon ki to aise bheed umdi hai,
ki himesh ke gaane bh hote hit baar baar hai...

Tom Cruise samajhke aise style marte hai saare jaise,
saara tashan unke hi paas hai..

Rakhi Sawant ki baat karo ya Mikka ki,
bas Stardum ke bhuke y saare stars hai..
inke wajah se ache actors ke naam hote bekaar hai..

Ego problem ki aise aag lagi hai,
jo daba deti har star ki asli aawaz hai..

Lyrics main angrezi words ki kardi bharmar hai,
fast beats p thirakte hai ab pair,
slow ki dheere dheere ho rae bidaai hai...

Paise ke bhuke ho chuka hai actor,
ek film k mangte hai 10 crore,
jabki movie ki hoti bas aausat kamai hai...

Agar idhar udhar ki baatein chodke,
apne ego ko khud ke paas rakhke,
ek saath kam karen,
to beshak har saal ocsar hamare hi paas hai....

So keep on trying Bollywood...but on originality...

....................................................................................................

Tuesday, August 18, 2009

"Kitne badal gaya hamara DESH"

Rangeen chadar ode tha bachpan beeta jahan,
hariyali ki oat main khilti th jaha muskan,
jahan har taraf bas pyar ki baatein th,
aakhir vo sab ab hai kahan?????

Suna tha dadi se angrezon ke khilaf hum ek hokar lade th,
gulami nahi sahi th,
muh tod jawab diye th.....
par ab kya hua hamare desh ko??
jo ab hum sab ye bhul chuke hai...

Ab bas yahan khun ka pyassa har rishta h,
pyar se badhkar ab paisa hai..

Bhrashtachar ki neev kisne rakhi h..
jisne khokli kar di iske har eent hai...

Aazadi ki 63 saal baad bh,
hum Hindu Muslim main bhed bhav karte hai,
kehte h hum aage badh chuke hai.
phir kyun 1947 k batware ko dobara yaad karte hai..?????????

Paise ne saare desh main aisa tandav khela hai
Ameer garib ko apni juti ki nauk tak nahi samjhta hai,
kyun aakhir ek bharatwasi hi dusre ka dushman ban gaya hai?
agar y hai desh ka haal to kya hamara desh aise VIKSIT ho chuka hai..?????!!

Naujawan ka josh is badti mehngai main dab chuka hai,
jo bache hue kuch imandar unhe hamare sarkar ne nikal fainkha hai..

Chalo aaj pran lete hai badle BHARAT ka naya swaroop banayenge
bhrasht aur jaatiwaad ko dur kar...
imandari aur pyaar ki fasal ugaenge....!!

"Ladki-Ek abhishap ya tohfa??"

Aaj is sansaar main phir ek ladki ne janam lia,
uski maa ne na jaane yeh kaisa apradh kia??
Dadi ne paida hote hi poti ke hahakar machaya..
boli-"yeh hai paraya dhan yeh hamare jeevan main kyun hai aaya??"........

Maa khush thi beti ko paakar,
usne usme devi maa ka rup basa hua paya..
par auron ki baatein sunkar uske jeevan ke liye uska man ghabraya,
na pita ka pyaar mila na dadi ki chaya...!!!

Kuch saalon ke baad uske jeevan main uska bhai aaya..
uske hansi ne ghar mahkaya,
dadi bhi khush aur pita ke chehre pe usne pehli baar sukoon paya.!!!...

Tane khati khati badi hui..
vivah ki dehleez main kadam rakha aur socha ab meri zindagi hogi rangeen,
par ye to hona hi nahi tha
aakhir thi vo ladki hi....

Pati ne kosa aur saas ne bhi,
na idhar ki rae na udhar ki,
sochti rae kya ye hi hai meri takdeer??

Kuch saalon ke baad is duniya main uska beta aaya,
usne aate hi dadi jaisa rang dikhaya!!
uski baatein sunkar uska man ghabraya..
bola-"Hey Maa!!Tune mera ghar KURUSHETRA kyun banaya????"

Kya hota hai pyaar ye ladki hi sikhati hai..
kaise banta hai ye sansaar ye ladki hi batati hai,
har pathjhad main vo hi phool khilati hai,
murjhaye logon main khushiyan vo failati hai...

apni takdeer ko kosti hui,
apno se ladti hui,
vo ye hi sawal puchti hai
samaj bata de zara use.....

"AAKHIR KIS GHAR KI VO LADKI HAI??
AAKHIR KIS GHAR KI VO LADKI HAI??"

Monday, August 17, 2009

"Terror"

Hai shak darmiyan har insaan ke,
kyun hai khafa insaan bhagwan se??
kyun chain sabka chin gaya hai??
kyun khun ki baarish hoti hai registaan main?........

har taraf maut ka tandav hai,
maut ki cheekhen hai, maut ki pukar hai,
dushmanon ne hamare bharat ko bana diya shamshan hai.....

uthe dhuen main baarood ki gandh hai,
har taraf bas bandhukon se ho rae jung hai,
aankhon main aasun liye besahara khade hai,
apno ko yaad karke bas jee rae hai........

kab is maut ki parchai is jahan se hategi??
kab phir aman ki chadar bichegi??
kab phir vo khilkhilata suraj ugega??
kab phir thandi chaun main raatein kategi??
kab laut ke aayenge phir vo din
jab bas dharti shanti ki chadar odhe phir rangeen banegi?.......


JAI HIND!!!!